Ads 468x60px

14 Jun 2012

How to Install Windows XP



















*# Windows ko install ya format karne ke liye aapke paas win xp ki bootable cd aur motherboard ke drivers hone chahiye. .
1. Sabse pehle apne CD/DVD rom me xp ki (Bootable CD)  insert kijiye aur apne computer ko restart kijiye.
Fir (F10) ya (DEL) key press kijiye to apke samne (BIOS Setup) open ho jayega.
uske baad menu me (First Boot Device) ko find kijiye aur usme (CD) rom device ko select kijiye aur save kar dijiye. jisse system restart hote hi (CD) rom xp ki CD ko read kar le. (2nd Boot) me Hard Disk ko select kijiye.
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


2. Restart hone ke baad system CD ko boot  karne ke liye koi key press karne ko kahega to (Enter) press kar dijye jisse setup shuru ho jaye.
aur key press karne ke baad apke samne ek blue colour ki screen dikhai degi. jisme setup ki processing chalti rahegi. yahan agar apse aage badhne ke liye koi key press karne ko kahe to use press kar de warna abhi kuch karne ki zarurat nahi.



-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

3. Kuch der ke baad apke samne
 (Welcome to Setup) screen aayegi. usme 3 options honge (1) option windows install karne ke liye, (2) option windows ko (Repair)  karne ke liye, (3) option band karne ke liye. ab yahan par pehle option choose karne ke liye ENTER press karein.

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


4. Ab aapke samne (Windows Xp Licensing Agreement) ki screen aayegi jise agree karne ke liye F8 press karein.

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


5. Yahan apko (Hard Disk) ke partition dikhai denge ab jis bhi partition me aap windows install karna chahte hain use select karein aur ENTER press karein. windows mostly partition (C:) me hi install karte hain. uske baad format karne ke liye apke samne 4 options honge unme se (Format the Partition using the NTFS file System) ko select kijiye.

** Yahan Partition (C) 
(D) (E) (F) kaise Create kiya jata hai. Adhik jankari ke liye Email karye > Home Page 
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


6.  Ab (ENTER) press karne par wo partition format ho jayega aur new  files (Hard Disk) me copy hona shuru ho jayengi.

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


7. Kuch der baad computer restart ho jayega aur  fir se boot karne ke liye koi key press karne ke liye kahega,
**Lekin yahan apko koi key press nahi karni hai. iske baad (Computer Graphical Interface) start ho jayega.

------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


8. Kuch der me apke samne language ka option aayega usme Next karke aage badhein.
iske baad Personalize your Software window apke samne hogi.
 jisme aap Name me apna naam aur Organisation me kuch bhi type kar sakte hain.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


9. Ye sab karne ke baad (Next)  par click karein uske baad aapse Windows ki product key puchi jayegi jo 25 Character ki hogi, [ HHBCG-3V2QR-72KPV-YQCXW-KHGJ7 ] type kijiye aur (Next ) karke aage badhiye.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


10. Next karne par apke samne Computer Name and Administrator Password  screen ayegi jisme aap apne computer ka naam type karenge aur password ko blank rehne denge. fir Next par click karenge.
ye karne ke baad apke samne Date and Time Setting screein ayegi usme Date, Time aur Time Zone ko apne hisab se set kar lijiye aur Next par click kijiye.

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------



11. Kuch der baad screen par Networking Settings aayengi jisme Typical Settings ko select karke Next par click karein. Iske baad Workgroup or Computer Domain screen ayegi jisme bina kuch change kiye Next par click kar dijiye.

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------



12. kuch der me Windows System me install ho jayegi aur computer Restart ho jayega. aur display setting box ayega jise aap OK kar dijiye.



------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

13. Fir apke samne Help Protect your PC screen ayegi jisme 2 options honge,

 usme se "Help protect my PC by turning on Automatic Updates now" ko select karke Next par click kijiye.
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

14. Uske baad "Will this Computer Connect to the Internet Directly, or Throug a Network?" 

screen ayegi is step me niche Skip par click karein.
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------



15. Ab "Ready to Activate Windows?" ki screen ayegi jisme "No, Remind me Every Few Days" ko select

karke Next click karein.
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


16. Next karne ke baad "Who will use this Computer?" ki screen aayegi jisme aap 5 username type kar sakte hain lekin acha hai aap sirf Ek hi Username daalein aur Next par click karein.




------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

17. Click karne par
 "Thank You" screen ayegi yahan aap Finish par click karein. iske baad apke saamne Windows Desktop aa jayega jisme Recycle bin ka icon hoga. bas ho gayi apki windows install.



18. Iske baad
 Sound aur Graphics install karne ke liye Computer Drivers ki CD lagaiye aur Drivers install kar lijiye..


No comments:

Post a Comment

 

Sample text

Sample Text

.

Sample Text

.